Me Kaun Hu..
Me ek chota sa khayal hu
Jo Yaad aaye to muskura dena.
Me wo ungliyon me phasi atak hu
Jab jab man kare, chatka dena.
Me wo piroya hua mala ka moti hu
Bhar k mutthi me, khanka dena.
Me wo hawa ka haseen jhoka hu
Lage ki thama h, bas zara lehra dena.
Me wo andhere ko samete chirag hu
Gar saanjh ho gehri, to *Jyoti* jala dena.
मैं वो हूँ जो आपके दर्शक दीर्घा में कहीं अलग सा खड़ा हूँ।
ReplyDeleteगर नज़र पड़े मेरी ओर तो मुस्कुरा देना।।