Khone Ka Darr
Jise pa liya, use kaise kho sakte hai??
Jiske kho jaane ka darr ho, use kaha paya!
Bhut udhedbun hai aaj man me. Kuch kehna hai, kise kahu! Kuch sunna hai, kon hai jo bole! Koi itna kareeb nahi jo dhakano ko sune, unki halchal ko pehchaane. Ek bawandar sa hai chaaro aur, koi uske beech se jhaake.....
Kabhi socha hai ki kisi ko pana kya hota hai!
Kisiko apna kehna kya hota hai! Kisi ka ban jana kya hota hai!
Koi itna apna itna kareeb kab ho jata hai ki hum keh paye ki pa liya!
Kareeb.....apna...pana...
Jab kisi ko pa lete hai to kya dard hota hai!
Kisi k bhut kareeb hone ka bhi dard hota hai!
Koi apna ban jaye to dard hota hai!
Hmmmm
Apna bhi aur dard bhi.....ye ajab uljhan hai.
Jab apna koi dard me ho to kya mehsus hota hai wo dard!
Kya pata chalta hai ki awaaj me kuch khanak hai jo tikhi hai, tez hai, wo asal me dard hai!
Kya pata chalta hai ki tez tez bolne se wo apne dard se lad rahi hai!
Kya pata chalta hai ki dard ko jaahir nahi karna hai isliye bewajah ki baate kar rahi hai!
Kya pata chalta hai ki tees ko chupana hai isliye taane kas rahi hai!
Kya pata chalta hai ki apne ko rula kar nahi dikha sakti, isliye gussa kar rahi hai!
Gussa kar rahi hai taaki jo dard hai wo aansoo k raaste thoda sa beh kar kam ho sake par use yahi pata chale ki gussa beh gaya...use pata chalega kya ki dard baha hai un aankho se!
Kya kabhi ye pata chalega ki kareeb hone me sukoon mila tha, jo ab khone ko hai!
Kya paya isliye tha ki kal usko kho dena hoga!
Kya kho bhi isliye hi dena hai ki bhut kareeb kar liya tha!
Kya apna isliye kaha tha ki wo bhut kareeb hua tha aur ab kho jayega!!
Kya use kbhi pata chalega ki wo itna kareeb tha ki apna ban gaya tha!
Mene kaha na....bhut udhedbun hai aaj.
Sawal hi sawal hai...jawab koi nahi.
Ye to sach hi hai ki koi bhut apna, bhut kareeb hi jeevan ka sabse bada dard deta hai.
Apno k diye dard se bhi utna hi pyar hota hai kya!!
No more questions....
Dard ki bhi apni hi ada hai, wo bhi apne jaise hi kisi pe fida hai.
Comments
Post a Comment